uThaegi jo ruKH-e-yar se naqab hawa
uThā.egī jo ruḳh-e-yār se naqāb havā
karegī diid se mujh ko bhī faizyāb havā
bharosa kar ke maiñ uljhā huuñ mauj-e-dariyā se
likhegī azm kā mere bhī kyā nisāb havā
uḌā ke le ga.ī manzar sabhī nigāhoñ se
dikhā rahī hai mujhe dekho kaise ḳhvāb havā
kiyā hai shikva añdheroñ ne aaj bastī meñ
satā rahī hai charāġhoñ ko be-hisāb havā
khile haiñ phuul adāvat ke har taraf 'ahmad'
zamāne-bhar meñ chalī hai baḌī ḳharāb havā
uThaegi jo ruKH-e-yar se naqab hawa
karegi did se mujh ko bhi faizyab hawa
bharosa kar ke main uljha hun mauj-e-dariya se
likhegi azm ka mere bhi kya nisab hawa
uDa ke le gai manzar sabhi nigahon se
dikha rahi hai mujhe dekho kaise KHwab hawa
kiya hai shikwa andheron ne aaj basti mein
sata rahi hai charaghon ko be-hisab hawa
khile hain phul adawat ke har taraf 'ahmad'
zamane-bhar mein chali hai baDi KHarab hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.