uThane wale ye ek baat hai batane ki
uThāne vaale ye ik baat hai batāne kī
jabīn-e-shauq se zīnat thī āstāne kī
maiñ is adā ko na kyoñ sub.h-e-dā.imī kar luuñ
Thahar ki khīñch luuñ tasvīr muskurāne kī
tumhārī āñkhoñ meñ ye surḳh surḳh Dore haiñ
jhalak rahī hai ki surḳhī mire fasāne kī
tujhe ḳhabar bhī hai 'naḳhshab' se rūThne vaale
tire badalte hī badlī nazar zamāne kī
uThane wale ye ek baat hai batane ki
jabin-e-shauq se zinat thi aastane ki
main is ada ko na kyon subh-e-daimi kar lun
Thahar ki khinch lun taswir muskurane ki
tumhaari aankhon mein ye surKH surKH Dore hain
jhalak rahi hai ki surKHi mere fasane ki
tujhe KHabar bhi hai 'naKHshab' se ruThne wale
tere badalte hi badli nazar zamane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.