uThao sang ki hum mein sanak bahut hai abhi
uThāo sañg ki ham meñ sanak bahut hai abhī
hamāre garm lahū meñ namak bahut hai abhī
utar rahī hai agar chāñdnī utarne de
mahaktī zulf meñ terī chamak bahut hai abhī
ye kal kisī na.e mausam kī fasl kāTeñge
saroñ meñ ahl-e-junūñ ke Thanak bahut hai abhī
use ḳhabar nahīñ sūraj bhī Duub jaatā hai
hasīñ libās pe nāzāñ dhanak bahut hai abhī
hamāre pahle hī mausam ne ham ko toḌ diyā
magar tumhāre badan meñ lachak bahut hai abhī
havā-e-vaqt ne jhoñkī hai dhuul āñkhoñ meñ
hamārī aañkh meñ lekin chamak bahut hai abhī
dil apnā un kī hathelī pe rakh bhī de 'anjum'
tire ḳhulūs pe yāroñ ko shak bahut hai abhī
uThao sang ki hum mein sanak bahut hai abhi
hamare garm lahu mein namak bahut hai abhi
utar rahi hai agar chandni utarne de
mahakti zulf mein teri chamak bahut hai abhi
ye kal kisi nae mausam ki fasl kaTenge
saron mein ahl-e-junun ke Thanak bahut hai abhi
use KHabar nahin suraj bhi Dub jata hai
hasin libas pe nazan dhanak bahut hai abhi
hamare pahle hi mausam ne hum ko toD diya
magar tumhaare badan mein lachak bahut hai abhi
hawa-e-waqt ne jhonki hai dhul aankhon mein
hamari aankh mein lekin chamak bahut hai abhi
dil apna un ki hatheli pe rakh bhi de 'anjum'
tere KHulus pe yaron ko shak bahut hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.