uThe aaj un se faisla kar ke
uThe aaj un se faisla kar ke
yā ḳhafā ho ke yā ḳhafā kar ke
us kī raftār se ġhanīmat hai
ki rahe hashr hī bapā kar ke
us sanam kī galī meñ jaatā huuñ
phir nazar jānib-e-ḳhudā kar ke
ġhair tak apnī baat pahuñchā.ī
us se iz.hār-e-mudda.ā kar ke
kar to leñ tark-e-ishq ham nāseh
par guzāreñge umr kyā kar ke
mujh pe jo chāhiye sitam kiije
par na aġhyār kā kahā kar ke
muft zillat uThā.ī 'sālik' ne
zikr is bazm meñ mirā kar ke
uThe aaj un se faisla kar ke
ya KHafa ho ke ya KHafa kar ke
us ki raftar se ghanimat hai
ki rahe hashr hi bapa kar ke
us sanam ki gali mein jata hun
phir nazar jaanib-e-KHuda kar ke
ghair tak apni baat pahunchai
us se izhaar-e-muddaa kar ke
kar to len tark-e-ishq hum naseh
par guzarenge umr kya kar ke
mujh pe jo chahiye sitam kije
par na aghyar ka kaha kar ke
muft zillat uThai 'salik' ne
zikr is bazm mein mera kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.