uTThe teri mahfil se to kis kaam ke uTThe
uTThe tirī mahfil se to kis kaam ke uTThe
dil thaam ke baiThe the jigar thaam ke uTThe
dam bhar mire pahlū meñ unheñ chain kahāñ hai
baiThe ki bahāne se kisī kaam ke uTThe
us bazm se uTh kar to qadam hī nahīñ uThtā
ghar sub.h ko pahuñche haiñ kahīñ shaam ke uTThe
hai rashk ki ye bhī kahīñ shaidā na hoñ us ke
turbat se bahut log mire naam ke uTThe
afsāna-e-husn us kā hai har ek zabān par
parde na kabhī jis ke dar-o-bām ke uTThe
āġhāz-e-mohabbat meñ maze dil ne uḌaa.e
pūchhe to koī ranj bhī anjām ke uTThe
dil nazr meñ de aa.e ham ik shoḳh ko 'beḳhud'
bāzār meñ jab daam na is jaam ke uTThe
uTThe teri mahfil se to kis kaam ke uTThe
dil tham ke baiThe the jigar tham ke uTThe
dam bhar mere pahlu mein unhen chain kahan hai
baiThe ki bahane se kisi kaam ke uTThe
us bazm se uTh kar to qadam hi nahin uThta
ghar subh ko pahunche hain kahin sham ke uTThe
hai rashk ki ye bhi kahin shaida na hon us ke
turbat se bahut log mere nam ke uTThe
afsana-e-husn us ka hai har ek zaban par
parde na kabhi jis ke dar-o-baam ke uTThe
aaghaz-e-mohabbat mein maze dil ne uDae
puchhe to koi ranj bhi anjam ke uTThe
dil nazr mein de aae hum ek shoKH ko 'beKHud'
bazar mein jab dam na is jam ke uTThe
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 181)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.