uThegi un ke chehre se naqab aahista aahista
uThegī un ke chehre se naqāb āhista āhista
nazar aa jā.egā ye inqalāb āhista āhista
hamesha ishq meñ sabr-o-sukūñ se kaam chaltā hai
dil-e-nākām hogā kāmyāb āhista āhista
ye rusvā.ī to lāzim thī magar itnā kiyā maiñ ne
huā rusvā zamāne meñ shabāb āhista āhista
savāl un ke to aksar barq-raftārī se hote haiñ
nikaltā hai mire muñh se javāb āhista āhista
sunā de faisla jo kuchh bhī hai ai dāvar-e-mahshar
na kar mere gunāhoñ kā hisāb āhista āhista
tasallī un ke milne se bhī ab hotī nahīñ dil kī
yahāñ tak baḌh gayā hai iztirāb āhista āhista
ye piinā bhī hai kyā piinā ye baḳhshish bhī hai kyā baḳhshish
pilā.ī mujh ko saaqī ne sharāb āhista āhista
yahāñ tak guftugū meñ tez chaltī thī zabāñ un kī
ye kahnā hī paḌā mujh ko janāb āhista āhista
tunak-zarfoñ kī sohbat raas aatī tā-ba-kai us ko
jahāñ meñ ho ga.ī rusvā sharāb āhista āhista
pasand aa.ī hameñ ye baat 'sāhir' jab kahā us ne
vafādāroñ kā hogā intiḳhāb āhista āhista
uThegi un ke chehre se naqab aahista aahista
nazar aa jaega ye inqalab aahista aahista
hamesha ishq mein sabr-o-sukun se kaam chalta hai
dil-e-nakaam hoga kaamyab aahista aahista
ye ruswai to lazim thi magar itna kiya main ne
hua ruswa zamane mein shabab aahista aahista
sawal un ke to aksar barq-raftari se hote hain
nikalta hai mere munh se jawab aahista aahista
suna de faisla jo kuchh bhi hai ai dawar-e-mahshar
na kar mere gunahon ka hisab aahista aahista
tasalli un ke milne se bhi ab hoti nahin dil ki
yahan tak baDh gaya hai iztirab aahista aahista
ye pina bhi hai kya pina ye baKHshish bhi hai kya baKHshish
pilai mujh ko saqi ne sharab aahista aahista
yahan tak guftugu mein tez chalti thi zaban un ki
ye kahna hi paDa mujh ko janab aahista aahista
tunak-zarfon ki sohbat ras aati ta-ba-kai us ko
jahan mein ho gai ruswa sharab aahista aahista
pasand aai hamein ye baat 'sahir' jab kaha us ne
wafadaron ka hoga intiKHab aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.