uThi hai jo qadmon se wo daman se aDi hai
uThi hai jo qadmon se wo daman se aDi hai
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
uThī hai jo qadmoñ se vo dāman se aḌī hai
kyā kyā nigah-e-shauq pe zanjīr paḌī hai
vo yaas kā aalam hai ki har ek nazar par
mahsūs ye hotā hai judā.ī kī ghaḌī hai
yuuñ dekhiye to marhala-e-shauq hai yak gaam
chaliye to yahī ek qadam raah kaḌī hai
har ek qadam par hai kisī yaad kā saaya
har rāhguzar meñ koī dīvār khaḌī hai
har ġhunche ke chehre se ubharte haiñ tire naqsh
har gul meñ tire husn kī tasvīr juḌī hai
khelī thī kabhī husn se tere nigah-e-shauq
itnā hai tujhe yaad yahī baat baḌī hai
nāseh tirī bātoñ se kaTī hijr kī ye shaam
ik aur fasāna ki abhī raat paḌī hai
kyā jāniye kyā thā tirā andāz-e-'tabassum'
har dekhne vaale kī nazar mujh pe paḌī hai
uThi hai jo qadmon se wo daman se aDi hai
kya kya nigah-e-shauq pe zanjir paDi hai
wo yas ka aalam hai ki har ek nazar par
mahsus ye hota hai judai ki ghaDi hai
yun dekhiye to marhala-e-shauq hai yak gam
chaliye to yahi ek qadam rah kaDi hai
har ek qadam par hai kisi yaad ka saya
har rahguzar mein koi diwar khaDi hai
har ghunche ke chehre se ubharte hain tere naqsh
har gul mein tere husn ki taswir juDi hai
kheli thi kabhi husn se tere nigah-e-shauq
itna hai tujhe yaad yahi baat baDi hai
naseh teri baaton se kaTi hijr ki ye sham
ek aur fasana ki abhi raat paDi hai
kya jaaniye kya tha tera andaz-e-'tabassum'
har dekhne wale ki nazar mujh pe paDi hai
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 176)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.