uThi phir dil mein ek mauj-e-shabab aahista aahista
uThi phir dil mein ek mauj-e-shabab aahista aahista
Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
uThī phir dil meñ ik mauj-e-shabāb āhista āhista
kuchh aayā zindagī meñ inqalāb āhista āhista
samā kar mujh meñ vo jān-e-shabāb āhista āhista
banā degā mujhe apnā javāb āhista āhista
ye mahfil zāhidān-e-ḳhushk kī mahfil hai ai rindo
zarā is bazm meñ zikr-e-sharāb āhista āhista
mirī nazreñ mujhī ko rafta rafta bhuul jaatī haiñ
hue jaate haiñ jalve kāmyāb āhista āhista
na kahiye haañ na kahiye aap ko mujh se mohabbat hai
nigāheñ ḳhud hī de deñgī javāb āhista āhista
'shakīl' is darja māyūsī shurū-e-ishq meñ kaisī
abhī to aur honā hai ḳharāb āhista āhista
uThi phir dil mein ek mauj-e-shabab aahista aahista
kuchh aaya zindagi mein inqalab aahista aahista
sama kar mujh mein wo jaan-e-shabab aahista aahista
bana dega mujhe apna jawab aahista aahista
ye mahfil zahidan-e-KHushk ki mahfil hai ai rindo
zara is bazm mein zikr-e-sharab aahista aahista
meri nazren mujhi ko rafta rafta bhul jati hain
hue jate hain jalwe kaamyab aahista aahista
na kahiye han na kahiye aap ko mujh se mohabbat hai
nigahen KHud hi de dengi jawab aahista aahista
'shakil' is darja mayusi shuru-e-ishq mein kaisi
abhi to aur hona hai KHarab aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.