uThi thin aandhiyan jinko bujhane
uThī thiiñ āñdhiyāñ jin ko bujhāne
vo sham.eñ aur bhaḌkeñ is bahāne
naqābeñ bijliyoñ kī ruḳh pe Daale
chaman vāloñ ne lauTe āshiyāne
ye kyuuñ vahshat se lapkā dast-e-gul-chīñ
kalī shāyad lagī thī kuchh batāne
abhī mauhūm hai sajde kā mafhūm
jhukā phir kis liye sar kaun jaane
shu.ūr-e-zindagī kī Dhaal le kar
chale ham maut se āñkheñ milāne
uThi thin aandhiyan jin ko bujhane
wo shamen aur bhaDken is bahane
naqaben bijliyon ki ruKH pe Dale
chaman walon ne lauTe aashiyane
ye kyun wahshat se lapka dast-e-gul-chin
kali shayad lagi thi kuchh batane
abhi mauhum hai sajde ka mafhum
jhuka phir kis liye sar kaun jaane
shuur-e-zindagi ki Dhaal le kar
chale hum maut se aankhen milane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.