uThi us ru-e-raushan se naqab aahista aahista
uThi us ru-e-raushan se naqab aahista aahista
Nihal Rizvi Lucknowi
MORE BYNihal Rizvi Lucknowi
uThī us rū-e-raushan se naqāb āhista āhista
savā neze pe aayā āftāb āhista āhista
koī pī kar chale jaise sharāb āhista āhista
yūñhī aatā hai vo mast-e-shabāb āhista āhista
javānī un meñ paidā be-niyāzī kartī jaatī hai
ye kaisā ho rahā hai inqalāb āhista āhista
murattab ho rahā hai is tarah afsāna-e-hastī
bharā jaatā hai jaise zarf-e-āb āhista āhista
mirī aaheñ mire naale mirī sāñseñ mire aañsū
bane ā.īna-dār-e-inqalāb āhista āhista
mohabbat kā taqāzā ik savāl-e-sāf thā lekin
diyā us ne bahut mub.ham javāb āhista āhista
kabhī to hogī husn-o-ishq kī fitrat meñ yaksūī
baneñge aap bhī merā javāb āhista āhista
'nihāl' us ne mujhe kaunain kī daulat atā kar dī
uThā kar rū-e-raushan se naqāb āhista āhista
uThi us ru-e-raushan se naqab aahista aahista
sawa neze pe aaya aaftab aahista aahista
koi pi kar chale jaise sharab aahista aahista
yunhi aata hai wo mast-e-shabab aahista aahista
jawani un mein paida be-niyazi karti jati hai
ye kaisa ho raha hai inqalab aahista aahista
murattab ho raha hai is tarah afsana-e-hasti
bhara jata hai jaise zarf-e-ab aahista aahista
meri aahen mere nale meri sansen mere aansu
bane aaina-dar-e-inqalab aahista aahista
mohabbat ka taqaza ek sawal-e-saf tha lekin
diya us ne bahut mubham jawab aahista aahista
kabhi to hogi husn-o-ishq ki fitrat mein yaksui
banenge aap bhi mera jawab aahista aahista
'nihaal' us ne mujhe kaunain ki daulat ata kar di
uTha kar ru-e-raushan se naqab aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.