uTho gale se lipaT jao phir nikhar lena
uTho gale se lipaT jao phir nikhar lena
gulshan-ud-daula Bahar
MORE BYgulshan-ud-daula Bahar
uTho gale se lipaT jaao phir nikhar lenā
tamām raat paḌī hai banāv kar lenā
ye loTnā ye mirā dard yaad kar lenā
kabhī kabhī to kaleje pe haath dhar lenā
hamāre saath hai terā bhī imtihāñ ai tiir
taḌap ke dil jo nikal jaa.e to jigar lenā
Dare to kaT na sakegā kabhī galā merā
yahī ḳhushī ho to āñkhoñ pe haath dhar lenā
gunāhgār pe yārab nuzūl-e-rahmat kar
tirā ḳhazāna jo ḳhālī ho mujh se bhar lenā
'bahār' roz ye kam-baḳht muñh ko aatā hai
kidhar chalā hai mirā dil zarā ḳhabar lenā
uTho gale se lipaT jao phir nikhar lena
tamam raat paDi hai banaw kar lena
ye loTna ye mera dard yaad kar lena
kabhi kabhi to kaleje pe hath dhar lena
hamare sath hai tera bhi imtihan ai tir
taDap ke dil jo nikal jae to jigar lena
Dare to kaT na sakega kabhi gala mera
yahi KHushi ho to aankhon pe hath dhar lena
gunahgar pe yarab nuzul-e-rahmat kar
tera KHazana jo KHali ho mujh se bhar lena
'bahaar' roz ye kam-baKHt munh ko aata hai
kidhar chala hai mera dil zara KHabar lena
- Book : Noquush (Pg. B391 E401)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.