uTho is shan se ki waqt ke dhaare badal Dalo
uTho is shaan se ki vaqt ke dhāre badal Daalo
nigāheñ thak chukīñ jin se vo nazzāre badal Daalo
zamāna tishna-kām-e-amn hai taskīñ kā bhūkā hai
chalo zulm-o-tashaddud-ḳhez gahvāre badal Daalo
tumhāre haath meñ aane ko hai phir gardish-e-daurāñ
azā.em apne bhī kuchh ai mire pyāre badal Daalo
yahāñ to sab ko jiinā hai sabhī ko jiine denā hai
tarīqa vo jo apnā ye bhī haq maare badal Daalo
'ḳhalīl' ik jaan ho jaanā zarūrī hai zamāne meñ
ḳhalal-andāz shīrāze ke shah-pāre badal Daalo
uTho is shan se ki waqt ke dhaare badal Dalo
nigahen thak chukin jin se wo nazzare badal Dalo
zamana tishna-kaam-e-amn hai taskin ka bhuka hai
chalo zulm-o-tashaddud-KHez gahware badal Dalo
tumhaare hath mein aane ko hai phir gardish-e-dauran
azaem apne bhi kuchh ai mere pyare badal Dalo
yahan to sab ko jina hai sabhi ko jine dena hai
tariqa wo jo apna ye bhi haq mare badal Dalo
'KHalil' ek jaan ho jaana zaruri hai zamane mein
KHalal-andaz shiraaze ke shah-pare badal Dalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.