uThti ghaTa hai kis tarah bole wo zulf uTha ki yun
uThtī ghaTā hai kis tarah bole vo zulf uThā ki yuuñ
barq chamaktī kyūñki hai hañs ke ye phir kahā ki yuuñ
chorī se us ke paañv tak pahuñchī thī shab ko kis tarah
aa kahīñ haath mat bañdhā kah de ab ai hinā ki yuuñ
din ko falak pe kahkashāñ nikle hai kyūñki ġhair-e-shab
chīn-e-jabīñ dikhā mujhe us ne diyā batā ki yuuñ
jaise kahā ki āshiqāñ rahte haiñ kyūñki chāk-e-jeb
us ko gul-e-chaman dikhā kah ke chalī sabā ki yuuñ
ho ga.e bar-sar-e-ḳhalish le ke sināñ jo ḳhār-e-dasht
kar ne kalām tab lagā qais-e-barahna-pā ki yuuñ
pūchhe hai vo ki kis tarah shīsha-o-jām kā hai saath
kah de milā ke chashm se chashm ko sāqiyā ki yuuñ
karte safar haiñ kis tarah bahr-e-jahāñ se ai hubāb
ḳheme ko apne laad kar kar de ye 'uqda vā ki yuuñ
uThti ghaTa hai kis tarah bole wo zulf uTha ki yun
barq chamakti kyunki hai hans ke ye phir kaha ki yun
chori se us ke panw tak pahunchi thi shab ko kis tarah
aa kahin hath mat bandha kah de ab ai hina ki yun
din ko falak pe kahkashan nikle hai kyunki ghair-e-shab
chin-e-jabin dikha mujhe us ne diya bata ki yun
jaise kaha ki aashiqan rahte hain kyunki chaak-e-jeb
us ko gul-e-chaman dikha kah ke chali saba ki yun
ho gae bar-sar-e-KHalish le ke sinan jo KHar-e-dasht
kar ne kalam tab laga qais-e-barahna-pa ki yun
puchhe hai wo ki kis tarah shisha-o-jam ka hai sath
kah de mila ke chashm se chashm ko saqiya ki yun
karte safar hain kis tarah bahr-e-jahan se ai hubab
KHeme ko apne lad kar kar de ye 'uqda wa ki yun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.