uThti hai apne dil se kuchh aisi hi huk si
uThti hai apne dil se kuchh aisi hi huk si
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
uThtī hai apne dil se kuchh aisī hī huuk sī
paḌ jaatī jis se dasht meñ hai ek kuuk sī
tasvīreñ dekh bolī badī-ul-jamāl yuuñ
sūrat koī nahīñ mire saif-ul-mulūk sī
taqsīr ho muaaf bhalā kyā ġhazab huā
gar aadmī se ho ga.ī ik ūk-chūk sī
kaalī balā hai koī nahīñ hai shab-e-firāq
sūrat-harām rakhtī hai ek maada ḳhuuk sī
'inshā' ne jo shafaq ko sarāhā to bole aap
kam-baḳht kyā balā hai lahū ke hulūk sī
uThti hai apne dil se kuchh aisi hi huk si
paD jati jis se dasht mein hai ek kuk si
taswiren dekh boli badi-ul-jamal yun
surat koi nahin mere saif-ul-muluk si
taqsir ho muaf bhala kya ghazab hua
gar aadmi se ho gai ek uk-chuk si
kali bala hai koi nahin hai shab-e-firaq
surat-haram rakhti hai ek mada KHuk si
'insha' ne jo shafaq ko saraha to bole aap
kam-baKHt kya bala hai lahu ke huluk si
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.