uThti kabhi kabhi hai koi Tis hae dil
uThtī kabhī kabhī hai koī Tiis haa.e dil
māl-o-matā' kuchh bhī nahīñ the sivā.e dil
phirtī haiñ mere sāmne jab sūrateñ ka.ī
phir kis ko yaad rakkhe kise bhuul jaa.e dil
vaqt-e-vidā' yaar tahammul se kaam le
ab ḳhud ko kis tarah se yuuñ patthar banā.e dil
ho kuchh bhī muztarib ye magar dil to hai nahīñ
barq-e-tapāñ hai siine meñ shāyad bajā.e-dil
hotī haiñ kaisī kaisī yahāñ lāl-kāriyāñ
apnā asar dikhātī hai jab karbalā-e-dil
tabdīl kar diyā hai har ik taur 'ishq ne
mahfil se jī churā.e to sahrā meñ gaa.e dil
uThti kabhi kabhi hai koi Tis hae dil
mal-o-mata' kuchh bhi nahin the siwae dil
phirti hain mere samne jab suraten kai
phir kis ko yaad rakkhe kise bhul jae dil
waqt-e-wida' yar tahammul se kaam le
ab KHud ko kis tarah se yun patthar banae dil
ho kuchh bhi muztarib ye magar dil to hai nahin
barq-e-tapan hai sine mein shayad bajae-dil
hoti hain kaisi kaisi yahan lal-kariyan
apna asar dikhati hai jab karbala-e-dil
tabdil kar diya hai har ek taur 'ishq ne
mahfil se ji churae to sahra mein gae dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.