utra jo iltifat ka dariya na tha kabhi
utrā jo iltifāt kā dariyā na thā kabhī
dil is qadar bhī hijr kā maarā na thā kabhī
sarmāya-e-hayāt the fardā ke ḳhvāb so
likkhā bisāt-e-jāñ pe ḳhasārā na thā kabhī
bikhrā vo ḳhaak ho ke mirī rahguzār meñ
jo shaḳhs aa ke ḳhvāb meñ miltā na thā kabhī
tanhā.ī ḳhauf ye shab-e-dījūr ye ghuTan
guzregī aise qabr meñ sochā na thā kabhī
ik aan meñ ye paikar-e-ḳhākī bikhar gayā
ye sāneha to ruuh pe guzrā na thā kabhī
mastūr thā hijāb-e-taqaddus meñ soz-e-ishq
āvāza-e-ḳhirām-e-tamannā na thā kabhī
nāsūr ban ke ruuh ko ghāyal kiye gayā
jo ashk chashm-e-nam ne girāyā na thā kabhī
to ye na justujū hai na zauq-e-junūn-e-ishq
vīrān aisā shahr-e-tamannā na thā kabhī
'anjum' ye shab-gazīda sahar kyuuñ nasīb meñ
maiñ ne charāġh-e-shauq bujhāyā na thā kabhī
utra jo iltifat ka dariya na tha kabhi
dil is qadar bhi hijr ka mara na tha kabhi
sarmaya-e-hayat the farda ke KHwab so
likkha bisat-e-jaan pe KHasara na tha kabhi
bikhra wo KHak ho ke meri rahguzar mein
jo shaKHs aa ke KHwab mein milta na tha kabhi
tanhai KHauf ye shab-e-dijur ye ghuTan
guzregi aise qabr mein socha na tha kabhi
ek aan mein ye paikar-e-KHaki bikhar gaya
ye saneha to ruh pe guzra na tha kabhi
mastur tha hijab-e-taqaddus mein soz-e-ishq
aawaza-e-KHiram-e-tamanna na tha kabhi
nasur ban ke ruh ko ghayal kiye gaya
jo ashk chashm-e-nam ne giraya na tha kabhi
to ye na justuju hai na zauq-e-junun-e-ishq
viran aisa shahr-e-tamanna na tha kabhi
'anjum' ye shab-gazida sahar kyun nasib mein
main ne charagh-e-shauq bujhaya na tha kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.