utra samundaron mein kabhi chand par gaya
utrā samundaroñ meñ kabhī chāñd par gayā
le kar kahāñ kahāñ mujhe zauq-e-safar gayā
āñkheñ khulīñ to ḳhvāb-e-tamannā se Dar gayā
ḳhush-fahmiyoñ kā ā.ina-ḳhāna bikhar gayā
derīna hasratoñ ke shagūfe mahak uThe
jhoñkā havā kā band-e-qabā chaak kar gayā
lahje kī talḳhiyoñ meñ samoyā huā ḳhulūs
e'jāz-e-harf thā ki diloñ meñ utar gayā
fasl-e-bahār tak thiiñ qabā.eñ guloñ kī chaak
phir vahshatoñ kā chaḌh ke vo dariyā utar gayā
chāhā thā ahl-e-naqd-o-nazar ne to aur kuchh
chehra kuchh aur fan kā hamāre nikhar gayā
aaya thā anjuman meñ liye qahqahe 'azīz'
uTh kar gayā to bazm ko afsurda kar gayā
utra samundaron mein kabhi chand par gaya
le kar kahan kahan mujhe zauq-e-safar gaya
aankhen khulin to KHwab-e-tamanna se Dar gaya
KHush-fahmiyon ka aaina-KHana bikhar gaya
derina hasraton ke shagufe mahak uThe
jhonka hawa ka band-e-qaba chaak kar gaya
lahje ki talKHiyon mein samoya hua KHulus
e'jaz-e-harf tha ki dilon mein utar gaya
fasl-e-bahaar tak thin qabaen gulon ki chaak
phir wahshaton ka chaDh ke wo dariya utar gaya
chaha tha ahl-e-naqd-o-nazar ne to aur kuchh
chehra kuchh aur fan ka hamare nikhar gaya
aaya tha anjuman mein liye qahqahe 'aziz'
uTh kar gaya to bazm ko afsurda kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.