utre tilism shab ke ujalon pe raat-bhar
utre tilism shab ke ujāloñ pe rāt-bhar
qurbāñ huī hai sub.h charāġhoñ pe rāt-bhar
zulmat meñ apnī Duub ga.iiñ din kī bastiyāñ
sūraj tamām chamke sitāroñ pe rāt-bhar
utre nahīñ shaboñ meñ uḌānoñ ke hausle
baiThe rahe parind bhī shāḳhoñ pe rāt-bhar
ik lau nahīñ nasīb ġharībān-e-shahr ko
sham.eñ jalī haiñ kitnī mazāroñ pe rāt-bhar
Dhaltī rahī nigāh meñ chehroñ kī chāñdnī
nāzil hue yaqīn gumānoñ pe rāt-bhar
pairāhan-e-jamāl hai raḳht-e-barahnagī
pahne ga.e haiñ jism libāsoñ pe rāt-bhar
ḳhushbū meñ jazb ho ga.iiñ mahtābiyāñ 'samad'
shabnam huī nisār gulāboñ pe rāt-bhar
utre tilism shab ke ujalon pe raat-bhar
qurban hui hai subh charaghon pe raat-bhar
zulmat mein apni Dub gain din ki bastiyan
suraj tamam chamke sitaron pe raat-bhar
utre nahin shabon mein uDanon ke hausle
baiThe rahe parind bhi shaKHon pe raat-bhar
ek lau nahin nasib ghariban-e-shahr ko
shamen jali hain kitni mazaron pe raat-bhar
Dhalti rahi nigah mein chehron ki chandni
nazil hue yaqin gumanon pe raat-bhar
pairahan-e-jamal hai raKHt-e-barahnagi
pahne gae hain jism libason pe raat-bhar
KHushbu mein jazb ho gain mahtabiyan 'samad'
shabnam hui nisar gulabon pe raat-bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.