utri sham to barsa pani ya allah
utrī shaam to barsā paanī yā allāh
ham jaisoñ kī yahī kahānī yā allāh
kyuuñ ham pe ilzām hai maulā sāzish kā
kab the ham dariyā tūfānī yā allāh
sūraj kī dahlīz pe aa kar Thahar ga.e
añdheroñ ne kyā hai Thānī yā allāh
man mandir meñ pyaar kī koī guuñj nahīñ
bhej koī miirā dīvānī yā allāh
apne lashkar meñ jab sirf bahattar the
ham ne tab bhī haar na maanī yā allāh
utri sham to barsa pani ya allah
hum jaison ki yahi kahani ya allah
kyun hum pe ilzam hai maula sazish ka
kab the hum dariya tufani ya allah
suraj ki dahliz pe aa kar Thahar gae
andheron ne kya hai Thani ya allah
man mandir mein pyar ki koi gunj nahin
bhej koi mera diwani ya allah
apne lashkar mein jab sirf bahattar the
hum ne tab bhi haar na mani ya allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.