uTThe hath duaon wale bhar de maula
uTThe haath duāoñ vaale bhar de maulā
mere shahr kā mausam achchhā kar de maulā
dhyān-sarā meñ jaane kab se bahak rahī haiñ
in chiḌiyoñ ko apne bāl-o-par de maulā
ḳhvāb-nagar se apnī fasleñ kāTeñ ye bhī
ahl-e-chaman ko achchhī koī ḳhabar de maulā
in galiyoñ meñ māyūsī lahreñ letī hai
in galiyoñ ko ab to na.ī sahar de maulā
thakā huā jab koī musāfir lauT ke aa.e
jaisā chhoḌ gayā thā vaisā ghar de maulā
uTThe hath duaon wale bhar de maula
mere shahr ka mausam achchha kar de maula
dhyan-sara mein jaane kab se bahak rahi hain
in chiDiyon ko apne baal-o-par de maula
KHwab-nagar se apni faslen kaTen ye bhi
ahl-e-chaman ko achchhi koi KHabar de maula
in galiyon mein mayusi lahren leti hai
in galiyon ko ab to nai sahar de maula
thaka hua jab koi musafir lauT ke aae
jaisa chhoD gaya tha waisa ghar de maula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.