uTThi hai jab se dil mein mere ishq ki tarang
uTThī hai jab se dil meñ mire ishq kī tarañg
shādī o ġham haiñ aage mire donoñ ek rañg
jab se huā huuñ bāda-e-tauhīd se maiñ mast
uThtī hai dil se naġhma-e-mansūr kī umañg
dil andarūn-e-sīna magar ho gayā hai ḳhuun
nikle haiñ merī ā.ankhoñ se jo ashk surḳh rañg
pahuñche hai tīr-e-āh mirā arsh ke pare
jab se lagā hai dil meñ mire ishq kā ḳhadañg
nairañgiyāñ tirī haiñ huī jaise jalva-gar
hosh-o-havās-o-aql-e-rasā jumla haiñ ye dañg
ik baar gar vo dekhe tire ruḳh ko be-naqāb
ka.aba-parast hove vahīñ par but-e-farañg
kar nām-o-nañg tark dilā rāh-e-ishq meñ
āshiq vahī hai jis ko ki hai is se ār-o-nañg
mat rakh tū bahr-e-ishq meñ ai bul-havas qadam
har qatre meñ yahāñ haiñ balā ke do sad nahañg
'āsim' maiñ kyā karūñ shah-e-ḳhādim kī ab sanā
hai pā-e-aql arsa-e-mid.hat meñ us ke lañg
uTThi hai jab se dil mein mere ishq ki tarang
shadi o gham hain aage mere donon ek rang
jab se hua hun baada-e-tauhid se main mast
uThti hai dil se naghma-e-mansur ki umang
dil andarun-e-sina magar ho gaya hai KHun
nikle hain meri aaankhon se jo ashk surKH rang
pahunche hai tir-e-ah mera arsh ke pare
jab se laga hai dil mein mere ishq ka KHadang
nairangiyan teri hain hui jaise jalwa-gar
hosh-o-hawas-o-aql-e-rasa jumla hain ye dang
ek bar gar wo dekhe tere ruKH ko be-naqab
kaba-parast howe wahin par but-e-farang
kar nam-o-nang tark dila rah-e-ishq mein
aashiq wahi hai jis ko ki hai is se aar-o-nang
mat rakh tu bahr-e-ishq mein ai bul-hawas qadam
har qatre mein yahan hain bala ke do sad nahang
'asim' main kya karun shah-e-KHadim ki ab sana
hai pa-e-aql arsa-e-midhat mein us ke lang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.