uncha uDne ka bhi arman abhi baqi hai
ūñchā uḌne kā bhī armān abhī baaqī hai
par to kaaTe ga.e par jaan abhī baaqī hai
hādsoñ se abhī TuuTā nahīñ rishta merā
dil meñ uThtā hai jo tūfān abhī baaqī hai
tum jo kahte ho ki duniyā ko ḳharīdoge magar
bik nahīñ saktā jo insān abhī baaqī hai
haT sake kaise burā.ī ki isī duniyā meñ
shar abhī zinda hai shaitān abhī baaqī hai
yuuñ to pahchān chukā saare jahāñ ko 'āġhāz'
ḳhud se lekin mirī pahchān abhī baaqī hai
uncha uDne ka bhi arman abhi baqi hai
par to kaTe gae par jaan abhi baqi hai
hadson se abhi TuTa nahin rishta mera
dil mein uThta hai jo tufan abhi baqi hai
tum jo kahte ho ki duniya ko KHaridoge magar
bik nahin sakta jo insan abhi baqi hai
haT sake kaise burai ki isi duniya mein
shar abhi zinda hai shaitan abhi baqi hai
yun to pahchan chuka sare jahan ko 'aghaz'
KHud se lekin meri pahchan abhi baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.