unche kalas pe dip jala sham ho gai
ūñche kalas pe diip jalā shaam ho ga.ī
jaage gunāh soyā ḳhudā shaam ho ga.ī
jo shaḳhs din kī bhiiḌ meñ khoyā huā sā thā
kyoñ us ne kapkapā ke kahā shaam ho ga.ī
aao ab apne dhyān kā sūraj ugā.eñ ham
hai mai-kade meñ shor bapā shaam ho ga.ī
nas nas meñ jaise aag koī tairne lagī
rag rag meñ zahr phail gayā shaam ho ga.ī
sūraj lahūluhān samundar meñ gir paḌā
din kā ġhurūr TuuT gayā shaam ho ga.ī
din bhar to apne aap se bachte rahe ho tum
sañbhlo 'hasan-kamāl' zarā shaam ho ga.ī
unche kalas pe dip jala sham ho gai
jage gunah soya KHuda sham ho gai
jo shaKHs din ki bhiD mein khoya hua sa tha
kyon us ne kapkapa ke kaha sham ho gai
aao ab apne dhyan ka suraj ugaen hum
hai mai-kade mein shor bapa sham ho gai
nas nas mein jaise aag koi tairne lagi
rag rag mein zahr phail gaya sham ho gai
suraj lahuluhan samundar mein gir paDa
din ka ghurur TuT gaya sham ho gai
din bhar to apne aap se bachte rahe ho tum
sanbhlo 'hasan-kamal' zara sham ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.