unche makan kha gae sab mere ghar ki dhup
ūñche makān khā ga.e sab mere ghar kī dhuup
hisse meñ mere rah ga.ī bālisht bhar kī dhuup
kartā rahūñ nigāh milā kar maiñ guftugū
har chand chubh rahī ho tire karr-o-far kī dhuup
saaya darīda-pairahanī par ḳhudī kā thā
resham sā lams laa.ī thī go sīm-o-zar kī dhuup
zarḳhezī-e-zamīn-e-suḳhan ke liye mufīd
dil kī havā shu.ūr kā paanī nazar kī dhuup
dil ke gumān sā ki duā ke yaqīn sā
ehsās ke lihāf sā laa.ī kohar kī dhuup
yā to dimāġh-o-dil ke añdheroñ ko duur kar
yā apnī raah le baḌī aa.ī kidhar kī dhuup
rahiye 'naqīb' aisī fazā meñ ki hai jahāñ
sher-o-adab kī chāñdnī ilm-o-hunar kī dhuup
unche makan kha gae sab mere ghar ki dhup
hisse mein mere rah gai baalisht bhar ki dhup
karta rahun nigah mila kar main guftugu
har chand chubh rahi ho tere karr-o-far ki dhup
saya darida-pairahani par KHudi ka tha
resham sa lams lai thi go sim-o-zar ki dhup
zarKHezi-e-zamin-e-suKHan ke liye mufid
dil ki hawa shuur ka pani nazar ki dhup
dil ke guman sa ki dua ke yaqin sa
ehsas ke lihaf sa lai kohar ki dhup
ya to dimagh-o-dil ke andheron ko dur kar
ya apni rah le baDi aai kidhar ki dhup
rahiye 'naqib' aisi faza mein ki hai jahan
sher-o-adab ki chandni ilm-o-hunar ki dhup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.