unchi hai bahut mere KHayalat ki duniya
ūñchī hai bahut mere ḳhayālāt kī duniyā
jaise kisī fankār ke jazbāt kī duniyā
ulfat hai kisī meñ na muravvat hai kisī meñ
bas dil kī tashaffī hai mulāqāt kī duniyā
ai kaash ki is dil ko javāb ek bhī miltā
baḌhtī chalī jaatī hai savālāt kī duniyā
iḳhlās-o-mohabbat ye jahāñ bhuul chukā hai
detī hai ishāra hameñ is baat kī duniyā
sach ye hai ki ye baat 'nasīm' aap kī sach hai
be-kaif hai har din kī har ik raat kī duniyā
unchi hai bahut mere KHayalat ki duniya
jaise kisi fankar ke jazbaat ki duniya
ulfat hai kisi mein na murawwat hai kisi mein
bas dil ki tashaffi hai mulaqat ki duniya
ai kash ki is dil ko jawab ek bhi milta
baDhti chali jati hai sawalat ki duniya
iKHlas-o-mohabbat ye jahan bhul chuka hai
deti hai ishaara hamein is baat ki duniya
sach ye hai ki ye baat 'nasim' aap ki sach hai
be-kaif hai har din ki har ek raat ki duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.