unchi unchi shahnai hai
ūñchī ūñchī shahnā.ī hai
pāgal ko niiñd aa.ī hai
ek barahna peḌ ke nīche
maiñ huuñ yā purvā.ī hai
merī hañsī jangal meñ kisī ne
der talak dohrā.ī hai
raushniyoñ ke jaal se bāhar
koī kiran lahrā.ī hai
ḳhāmoshī kī jhiil pe shyāmā
kankar le kar aa.ī hai
dhyān kī nadiyā bahte bahte
ek dafa tharrā.ī hai
khet pe kis ne sabz lahū kī
chādar sī phailā.ī hai
mere uupar jaalā bunñe
phir koī badlī chhā.ī hai
ek añgūThī ke patthar meñ
āñkhoñ kī gahrā.ī hai
dīvāroñ par daaġh lahū ke
pathrīlī añgnā.ī hai
maiñ ne apne tanhā ghar ko
aadhī baat batā.ī hai
maiñ to us kā sannāTā huuñ
vo merī tanhā.ī hai
sub.h huī to dil meñ jaise
thakī thakī añgḌā.ī hai
ThanDī chaa.e kī pyālī pī ke
raat kī pyaas bujhā.ī hai
apne bādal kī kuTiyā ko
maiñ ne aag lagā.ī hai
unchi unchi shahnai hai
pagal ko nind aai hai
ek barahna peD ke niche
main hun ya purwai hai
meri hansi jangal mein kisi ne
der talak dohrai hai
raushniyon ke jal se bahar
koi kiran lahrai hai
KHamoshi ki jhil pe shyama
kankar le kar aai hai
dhyan ki nadiya bahte bahte
ek dafa tharrai hai
khet pe kis ne sabz lahu ki
chadar si phailai hai
mere upar jala bunne
phir koi badli chhai hai
ek anguThi ke patthar mein
aankhon ki gahrai hai
diwaron par dagh lahu ke
pathrili angnai hai
main ne apne tanha ghar ko
aadhi baat batai hai
main to us ka sannaTa hun
wo meri tanhai hai
subh hui to dil mein jaise
thaki thaki angDai hai
ThanDi chae ki pyali pi ke
raat ki pyas bujhai hai
apne baadal ki kuTiya ko
main ne aag lagai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.