upar dekh le mimbar se bhi
uupar dekh le mimbar se bhī
suufī aur qalandar se bhī
havā mujhe mahfūz rakhegī
dhartī se bhī sāgar se bhī
āsmān bhī ḳhālī paḌā hai
uub gayā huuñ daftar se bhī
mere paañv zarā chhoTe haiñ
manzil se bhī Thokar se bhī
donoñ taraf se mat mar jaanā
paise se bhī andar se bhī
upar dekh le mimbar se bhi
sufi aur qalandar se bhi
hawa mujhe mahfuz rakhegi
dharti se bhi sagar se bhi
aasman bhi KHali paDa hai
ub gaya hun daftar se bhi
mere panw zara chhoTe hain
manzil se bhi Thokar se bhi
donon taraf se mat mar jaana
paise se bhi andar se bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.