uzr hawa ne kya rakkha hai
uzr havā ne kyā rakkhā hai
kaisā shor machā rakkhā hai
ik be-nām ta.alluq meñ bhī
ḳhauf bichhaḌne kā rakkhā hai
dekho ham ne is lamhe kā
kitnā bojh uThā rakkhā hai
us kī āñkheñ dekh rahā huuñ
jis ne jaal bichhā rakkhā hai
dhuup meñ us ne kis kī ḳhātir
chhat par chāñd ugā rakkhā hai
tum pāgal ho tum kyā jaano
kis ke dil meñ kyā rakkhā hai
ham ne terī ḳhātir hī to
āñkhoñ meñ rastā rakkhā hai
aaj ġhazal kuhnī thī ham ne
tum ko paas biThā rakkhā hai
'qais' apnī dīvār meñ ham ne
ek diyā dafnā rakkhā hai
uzr hawa ne kya rakkha hai
kaisa shor macha rakkha hai
ek be-nam talluq mein bhi
KHauf bichhaDne ka rakkha hai
dekho hum ne is lamhe ka
kitna bojh uTha rakkha hai
us ki aankhen dekh raha hun
jis ne jal bichha rakkha hai
dhup mein us ne kis ki KHatir
chhat par chand uga rakkha hai
tum pagal ho tum kya jaano
kis ke dil mein kya rakkha hai
hum ne teri KHatir hi to
aankhon mein rasta rakkha hai
aaj ghazal kuhni thi hum ne
tum ko pas biTha rakkha hai
'qais' apni diwar mein hum ne
ek diya dafna rakkha hai
- Book : Aks Padta Hai Chaand ka (Pg. 139)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.