wada-e-subh tera sham tak aa pahuncha hai
vā'da-e-sub.h tirā shaam tak aa pahuñchā hai
shauq kis hasrat-e-nākām tak aa pahuñchā hai
pesh-ḳhema hai kisī ranj-e-digar kā shāna
dard kuchh sūrat-e-ārām tak aa pahuñchā hai
merī vahshat ko na raas aa.ī ye qaid-e-ādāb
zikr phir merā tire naam tak aa pahuñchā hai
phuul khilte hī baḌhā dast-e-darāz-e-gulchīñ
kaif-e-āġhāz hī anjām tak aa pahuñchā hai
jis kī vus'at ke liye tang the donoñ 'ālam
vo junūñ tauf-e-dar-o-bām tak aa pahuñchā hai
shauq suljhātā hai phir zulf-e-pareshāñ 'kausar'
yā'nī phir tā.ir-e-dil daam tak aa pahuñchā hai
wa'da-e-subh tera sham tak aa pahuncha hai
shauq kis hasrat-e-nakaam tak aa pahuncha hai
pesh-KHema hai kisi ranj-e-digar ka shana
dard kuchh surat-e-aram tak aa pahuncha hai
meri wahshat ko na ras aai ye qaid-e-adab
zikr phir mera tere nam tak aa pahuncha hai
phul khilte hi baDha dast-e-daraaz-e-gulchin
kaif-e-aghaz hi anjam tak aa pahuncha hai
jis ki wus'at ke liye tang the donon 'alam
wo junun tauf-e-dar-o-baam tak aa pahuncha hai
shauq suljhata hai phir zulf-e-pareshan 'kausar'
ya'ni phir tair-e-dil dam tak aa pahuncha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.