wa-e-nadani ye hasrat thi ki hota dar khula
vā-e-nādānī ye hasrat thī ki hotā dar khulā
ham qafas rāz-e-asīrī kyā kaheñ kyūñkar khulā
fursat-e-ranj-e-asīrī dī na un dhaḌkoñ ne haa.e
ab chhurī sayyād ne lī ab qafas kā dar khulā
allāh allāh ik duā-e-marg ke do do asar
vaañ khulā bāb-e-ijābat yaañ qafas kā dar khulā
uf is āzādi-e-be-hañgām kī majbūriyāñ
maiñ qafas ke paas yuuñ baiThā hī rahtā par khulā
ujlat-e-parvāz jab milne bhī de rāh-e-gurez
yuuñ to khulne ko qafas kā dar khulā aksar khulā
band hai bāb-e-qafas ho sar to paTke jā.iye
ham ne dekhā hai qafas kī tīliyoñ meñ dar khulā
kam to kyā sayyād be-tābī sivā ho jā.egī
tū ne nāhaq tīliyoñ meñ rakh diyā ḳhanjar khulā
āsmāñ garam-e-talāfī chāhiye kaisā qafas
bijliyoñ ke ik ishāre meñ qafas kā dar khulā
likh chuke ham jā chukā ḳhat gar yahī hālat rahī
haath meñ aayā qalam aur shauq kā daftar khulā
dil meñ zaḳhm ashkoñ meñ ḳhuuñ sūrat ba-bīñ-ālam-mapras
vo nigah uf vo mizha nāvak chhupā nashtar khulā
dam-ba-ḳhud sakte kā aalam murdanī chhā.ī huī
rañg merī zindagī kā merī mayyat par khulā
dil meñ terā dhyān ik muddat rahā begāna-vār
khulte hī khulte khulā aur kyā hī sharmā kar khulā
dekhiye kyā gul khilātī hai bahār ab ke baras
ḳhvāb meñ 'fānī' ne dekhā hai qafas kā dar khulā
wa-e-nadani ye hasrat thi ki hota dar khula
hum qafas raaz-e-asiri kya kahen kyunkar khula
fursat-e-ranj-e-asiri di na un dhaDkon ne hae
ab chhuri sayyaad ne li ab qafas ka dar khula
allah allah ek dua-e-marg ke do do asar
wan khula bab-e-ijabat yan qafas ka dar khula
uf is aazadi-e-be-hangam ki majburiyan
main qafas ke pas yun baiTha hi rahta par khula
ujlat-e-parwaz jab milne bhi de rah-e-gurez
yun to khulne ko qafas ka dar khula aksar khula
band hai bab-e-qafas ho sar to paTke jaiye
hum ne dekha hai qafas ki tiliyon mein dar khula
kam to kya sayyaad be-tabi siwa ho jaegi
tu ne nahaq tiliyon mein rakh diya KHanjar khula
aasman garam-e-talafi chahiye kaisa qafas
bijliyon ke ek ishaare mein qafas ka dar khula
likh chuke hum ja chuka KHat gar yahi haalat rahi
hath mein aaya qalam aur shauq ka daftar khula
dil mein zaKHm ashkon mein KHun surat ba-bin-alam-mapras
wo nigah uf wo mizha nawak chhupa nashtar khula
dam-ba-KHud sakte ka aalam murdani chhai hui
rang meri zindagi ka meri mayyat par khula
dil mein tera dhyan ek muddat raha begana-war
khulte hi khulte khula aur kya hi sharma kar khula
dekhiye kya gul khilati hai bahaar ab ke baras
KHwab mein 'fani' ne dekha hai qafas ka dar khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.