wabasta-e-dam-e-hosh-o-KHirad hangama-e-wahshat karna hai
wabasta-e-dam-e-hosh-o-KHirad hangama-e-wahshat karna hai
Qazi Syed Mushtaq Naqvi
MORE BYQazi Syed Mushtaq Naqvi
vābasta-e-dām-e-hosh-o-ḳhirad hangāma-e-vahshat karnā hai
ta.amīr ke rangīñ phūloñ se taḳhrīb kā dāman bharnā hai
phir azm-e-taqāzā denā hai jazbāt-e-shikasta-fitrat ko
ubhre hue shor-e-tūfāñ kī har mauj ko sāhil karnā hai
vo fitrat-e-zauq-e-azm hī kyā jo ġhair pe takiya kar baiThe
kis kaam kā aisā jiinā hai kis kaam kā aisā marnā hai
tūfān se Takrāne vaale andāza-e-tūfāñ kyā ma.anī
ab quvvat-e-bāzū par tujh ko apne hī bharosa karnā hai
koshish hai ye apnī shām-o-sahar har shāḳh nasheman ho jaa.e
bijlī ke ishāre kahte haiñ tārāj chaman ko karnā hai
vo azm nahīñ vo baat nahīñ vo sub.h nahīñ vo shaam nahīñ
marne ke liye jiite the kabhī jiine ke liye ab marnā hai
vābasta-e-daur-e-ranj-o-alam hai rāh-e-mohabbat kī manzil
'mushtāq' qadam is manzil meñ ab soch samajh kar dharnā hai
wabasta-e-dam-e-hosh-o-KHirad hangama-e-wahshat karna hai
tamir ke rangin phulon se taKHrib ka daman bharna hai
phir azm-e-taqaza dena hai jazbaat-e-shikasta-fitrat ko
ubhre hue shor-e-tufan ki har mauj ko sahil karna hai
wo fitrat-e-zauq-e-azm hi kya jo ghair pe takiya kar baiThe
kis kaam ka aisa jina hai kis kaam ka aisa marna hai
tufan se Takrane wale andaza-e-tufan kya mani
ab quwwat-e-bazu par tujh ko apne hi bharosa karna hai
koshish hai ye apni sham-o-sahar har shaKH nasheman ho jae
bijli ke ishaare kahte hain taraj chaman ko karna hai
wo azm nahin wo baat nahin wo subh nahin wo sham nahin
marne ke liye jite the kabhi jine ke liye ab marna hai
wabasta-e-daur-e-ranj-o-alam hai rah-e-mohabbat ki manzil
'mushtaq' qadam is manzil mein ab soch samajh kar dharna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.