wabasta hain hazaron alam har KHushi ke sath
wabasta hain hazaron alam har KHushi ke sath
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
vābasta haiñ hazāroñ alam har ḳhushī ke saath
ek khel ho rahā hai mirī zindagī ke saath
un kī adā-e-nāz pe qurbān jā.iye
karte haiñ qatl-e-ām magar sādgī ke saath
maiñ ne to band kar diyā ulfat kā kārobār
ab kaun chheḌtā hai mujhe dil-lagī ke saath
zauq-e-talab ne mujh ko kahāñ lā ke rakh diyā
maiñ ḳhud ko DhūñDhtā huuñ baḌī bebasī ke saath
gulshan-parast aaj bhī haiñ intizār meñ
kab aa.egī bahār na.ī tāzgī ke saath
sab haiñ ġham-e-ma.āsh ke maare hue 'majīd'
maiñ jī rahā huuñ ab bhī ġham-e-āshiqī ke saath
wabasta hain hazaron alam har KHushi ke sath
ek khel ho raha hai meri zindagi ke sath
un ki ada-e-naz pe qurban jaiye
karte hain qatl-e-am magar sadgi ke sath
main ne to band kar diya ulfat ka karobar
ab kaun chheDta hai mujhe dil-lagi ke sath
zauq-e-talab ne mujh ko kahan la ke rakh diya
main KHud ko DhunDhta hun baDi bebasi ke sath
gulshan-parast aaj bhi hain intizar mein
kab aaegi bahaar nai tazgi ke sath
sab hain gham-e-maash ke mare hue 'majid'
main ji raha hun ab bhi gham-e-ashiqi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.