wabasta ho gae hain qadam rahguzar ke sath
vābasta ho ga.e haiñ qadam rahguzar ke saath
ham chal paḌe the ek hasīñ ham-safar ke saath
ik din dhueñ kī tarah na bāhar nikāl de
ham-sāya aa basā hai burā mere ghar ke saath
gulchīñ pe nukta-chīn na ho bāġhbān ḳhud
gul shāḳh se utaar rahe haiñ hunar ke saath
us tez gaam shaḳhs ne manzil ko jā liyā
jo har paḌāv par na rukā rāhbar ke saath
dete rahe hisāb khaḌe zāhidān-e-ḳhushk
baḳhshish huī hai rind kī dāmān-e-tar ke saath
peshe ke e'tibār se vo sang-bār haiñ
jo mudda.ī ḳhulūs ke haiñ shīshagar ke saath
ik ḳhūb-rū se ishq meñ saudā huā hai tai
dil ko bhī rehn kar diyā 'shaukat' nazar ke saath
wabasta ho gae hain qadam rahguzar ke sath
hum chal paDe the ek hasin ham-safar ke sath
ek din dhuen ki tarah na bahar nikal de
ham-saya aa basa hai bura mere ghar ke sath
gulchin pe nukta-chin na ho baghban KHud
gul shaKH se utar rahe hain hunar ke sath
us tez gam shaKHs ne manzil ko ja liya
jo har paDaw par na ruka rahbar ke sath
dete rahe hisab khaDe zahidan-e-KHushk
baKHshish hui hai rind ki daman-e-tar ke sath
peshe ke e'tibar se wo sang-bar hain
jo muddai KHulus ke hain shishagar ke sath
ek KHub-ru se ishq mein sauda hua hai tai
dil ko bhi rehn kar diya 'shaukat' nazar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.