wabasta jab hayat se ruswaiyan na thin
vābasta jab hayāt se rusvā.iyāñ na thiiñ
ġhazloñ meñ husn fikr meñ gahrā.iyāñ na thiiñ
yuuñ to sabhī ke paas thī mansūr kī sanad
lekin kisī zabān pe sachchā.iyāñ na thiiñ
dekhā to har taraf the ġham-e-dil ke rāzdār
sochā to duur tak bhī shanāsā.iyāñ na thiiñ
har dam safar meñ aap kī yādoñ kā saath thā
tanhā.iyoñ ke baad bhī tanhā.iyāñ na thiiñ
'zāhid' ajiib log the shahr-e-havas ke log
āñkheñ to sab ke paas thiiñ bīnā.iyāñ na thiiñ
wabasta jab hayat se ruswaiyan na thin
ghazlon mein husn fikr mein gahraiyan na thin
yun to sabhi ke pas thi mansur ki sanad
lekin kisi zaban pe sachchaiyan na thin
dekha to har taraf the gham-e-dil ke raazdar
socha to dur tak bhi shanasaiyan na thin
har dam safar mein aap ki yaadon ka sath tha
tanhaiyon ke baad bhi tanhaiyan na thin
'zahid' ajib log the shahr-e-hawas ke log
aankhen to sab ke pas thin binaiyan na thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.