wada bhi usne soch ke karne nahin diya
va.ada bhī us ne soch ke karne nahīñ diyā
phir us ke ba.ad mujh ko mukarne nahīñ diyā
manzil tamām umr mire sāmne rahī
ik rāste ne mujh ko guzarne nahīñ diyā
be-ḳhauf kar diyā hameñ ta.avīz-e-ishq ne
rusvā.ī kī balāoñ se Darne nahīñ diyā
aisā ubuur thā kisī patthar ko Thes par
aa.ina toḌ kar bhī bikharne nahīñ diyā
jis sarzamīñ ke husn pe nāzāñ rahe sabhī
us sarzamīñ kā husn sañvarne nahīñ diyā
wada bhi us ne soch ke karne nahin diya
phir us ke baad mujh ko mukarne nahin diya
manzil tamam umr mere samne rahi
ek raste ne mujh ko guzarne nahin diya
be-KHauf kar diya hamein tawiz-e-ishq ne
ruswai ki balaon se Darne nahin diya
aisa ubur tha kisi patthar ko Thes par
aaina toD kar bhi bikharne nahin diya
jis sarzamin ke husn pe nazan rahe sabhi
us sarzamin ka husn sanwarne nahin diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.