wada-e-wasl-e-adu aaj wafa ho ki na ho
wada-e-wasl-e-adu aaj wafa ho ki na ho
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
MORE BYMohammad Lutfuddin Khan Lutf
va.ada-e-vasl-e-adū aaj vafā ho ki na ho
naala kartā to huuñ maiñ hashr bapā ho ki na ho
hausla aap kā go sirf jafā ho ki na ho
maiñ kiye jā.ūñ vafā mujh se vafā ho ki na ho
dil-e-muztar ko tum ifshā kī malāmat na karo
dil rahā ho to sahī hosh-rubā ho ki na ho
zindagī kā na milā lutf tirī furqat meñ
ab to mar jā.eñge marne meñ maza ho ki na ho
mā.il-e-tark-e-sitam terī adā ho ki na ho
misl mere koī pāband-e-razā ho ki na ho
aaj to kholne do tā na rahe shak baaqī
aap kā band-e-qabā uqda-kushā ho ki na ho
rabt maqsūd hai ārām-o-musībat kaisī
maiñ to kartā huuñ vafā mujh pe jafā ho ki na ho
ham to mai piite haiñ furqat ke maze lete haiñ
maraz-e-hijr kī duniyā meñ davā ho ki na ho
umr meñ mujh se tujhe ahd to karnā hai zarūr
umr meñ tujh se koī ahd vafā ho ki na ho
kal shab-e-vasl-e-adū 'lutf' to aaya hogā
rashk se aap se shāyad ki milā ho ki na ho
wada-e-wasl-e-adu aaj wafa ho ki na ho
nala karta to hun main hashr bapa ho ki na ho
hausla aap ka go sirf jafa ho ki na ho
main kiye jaun wafa mujh se wafa ho ki na ho
dil-e-muztar ko tum ifsha ki malamat na karo
dil raha ho to sahi hosh-ruba ho ki na ho
zindagi ka na mila lutf teri furqat mein
ab to mar jaenge marne mein maza ho ki na ho
mail-e-tark-e-sitam teri ada ho ki na ho
misl mere koi paband-e-raza ho ki na ho
aaj to kholne do ta na rahe shak baqi
aap ka band-e-qaba uqda-kusha ho ki na ho
rabt maqsud hai aaram-o-musibat kaisi
main to karta hun wafa mujh pe jafa ho ki na ho
hum to mai pite hain furqat ke maze lete hain
maraz-e-hijr ki duniya mein dawa ho ki na ho
umr mein mujh se tujhe ahd to karna hai zarur
umr mein tujh se koi ahd wafa ho ki na ho
kal shab-e-wasl-e-adu 'lutf' to aaya hoga
rashk se aap se shayad ki mila ho ki na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.