wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap
va.ada-ḳhilāf kitne haiñ ai rashk-e-māh aap
sach to ye hai ki jhūToñ ke haiñ bādshāh aap
daftar siyāh karte haiñ kyuuñ kātib-e-amal
huuñ maġhrib gunāhoñ kā maiñ rū-siyāh aap
ham se to dil meñ aap ke ab tak na ghar huā
kar lete haiñ diloñ meñ ye kis tarah raah aap
ye gah bhī kafsh-ḳhāna hai āḳhir huzūr kā
tashrīf yaañ bhī laayā kareñ gaah gaah aap
mahshar talak rahegā in āñkhoñ ko shauq-e-dīd
dekheñ ki ab dikhāte haiñ tā-chand raah aap
tashbīh naam āñkhoñ kī hai sūjhnā muhāl
saarī bayāz karte haiñ nā-haq siyāh aap
kuchh husn hī haiñ afsar-e-ḳhūbāñ nahīñ huzūr
haiñ mulk-e-ān-o-nāz ke bhī bādshāh aap
aariz abhī haiñ ruup pe ḳhat aane dījiye
kar lījiyegā farq-e-safed-o-siyāh aap
kyuuñ us ne kū-e-yār se bāhar nikāle paañv
majnūñ huā hai haath se apne tabāh aap
kalima paḌhe huzūr kā dekhe jo sāmrī
rakhte haiñ aisī sehr kī chashm-o-nigāh aap
sab āshiqoñ ke ek se hote nahīñ chain
khoTā kharā parakhne kī rakhiye nigāh aap
darmāndoñ kā hai kaun ba-juz un ke dast-gīr
apne apāhijoñ ko vo leñge nibāh aap
mujh rū-siyah kī hai ye duā vaqt-e-bāz-purs
rakhiyegā apne lutf-o-karam par nigāh aap
ulfat kā kyā yahī hai natīja jahān meñ
āshiq ko qatl karte haiñ kyuuñ be-gunāh aap
dil de ke bahr-e-fikr meñ ho ġhota-zan abas
dariyā-e-ishq kī nahīñ pā.eñge thaah aap
azm-e-safar to mulk-e-adam kā hai ai 'qalaq'
kuchh apne saath le bhī chale zād-e-rāh aap
wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap
sach to ye hai ki jhuTon ke hain baadshah aap
daftar siyah karte hain kyun katib-e-amal
hun maghrib gunahon ka main ru-siyah aap
hum se to dil mein aap ke ab tak na ghar hua
kar lete hain dilon mein ye kis tarah rah aap
ye gah bhi kafsh-KHana hai aaKHir huzur ka
tashrif yan bhi laya karen gah gah aap
mahshar talak rahega in aankhon ko shauq-e-did
dekhen ki ab dikhate hain ta-chand rah aap
tashbih nam aankhon ki hai sujhna muhaal
sari bayaz karte hain na-haq siyah aap
kuchh husn hi hain afsar-e-KHuban nahin huzur
hain mulk-e-an-o-naz ke bhi baadshah aap
aariz abhi hain rup pe KHat aane dijiye
kar lijiyega farq-e-safed-o-siyah aap
kyun us ne ku-e-yar se bahar nikale panw
majnun hua hai hath se apne tabah aap
kalima paDhe huzur ka dekhe jo samri
rakhte hain aisi sehr ki chashm-o-nigah aap
sab aashiqon ke ek se hote nahin chain
khoTa khara parakhne ki rakhiye nigah aap
darmandon ka hai kaun ba-juz un ke dast-gir
apne apahijon ko wo lenge nibah aap
mujh ru-siyah ki hai ye dua waqt-e-baz-purs
rakhiyega apne lutf-o-karam par nigah aap
ulfat ka kya yahi hai natija jahan mein
aashiq ko qatl karte hain kyun be-gunah aap
dil de ke bahr-e-fikr mein ho ghota-zan abas
dariya-e-ishq ki nahin paenge thah aap
azm-e-safar to mulk-e-adam ka hai ai 'qalaq'
kuchh apne sath le bhi chale zad-e-rah aap
- Mazhar-e-Ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.