wada raha na yaad mere mast-e-KHwab ko
va.ada rahā na yaad mire mast-e-ḳhvāb ko
ab kyā javāb duuñ dil-e-pur-iztirāb ko
zebā ġhurūr-o-nāz thā tere shabāb ko
Thukrā diyā mire dil-e-ḳhāna-ḳharāb ko
chamke jo dāġh-e-dil mire roz-e-siyāh meñ
taare dikhā.ī dene lage āftāb ko
maidān-e-hashr meñ na qayāmat bapā ho aur
maiñ dil sañbhālūñ aap sañbhāleñ naqāb ko
lākhoñ meñ chun liyā tumheñ roz-e-shumār bhī
dekho zarā mirī nigah-e-intiḳhāb ko
bhar aa.ī aañkh jab kabhī yaad aa ga.ī vo raat
bhūlā na aaj tak maiñ javānī ke ḳhvāb ko
'safdar' kahāñ maiñ aur kahāñ hazrat-e-riyāz
nisbat magar charāġh se hai āftāb ko
wada raha na yaad mere mast-e-KHwab ko
ab kya jawab dun dil-e-pur-iztirab ko
zeba ghurur-o-naz tha tere shabab ko
Thukra diya mere dil-e-KHana-KHarab ko
chamke jo dagh-e-dil mere roz-e-siyah mein
tare dikhai dene lage aaftab ko
maidan-e-hashr mein na qayamat bapa ho aur
main dil sanbhaalun aap sanbhaalen naqab ko
lakhon mein chun liya tumhein roz-e-shumar bhi
dekho zara meri nigah-e-intiKHab ko
bhar aai aankh jab kabhi yaad aa gai wo raat
bhula na aaj tak main jawani ke KHwab ko
'safdar' kahan main aur kahan hazrat-e-riyaz
nisbat magar charagh se hai aaftab ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.