wada tha kab ka bar-e-KHuda sochne to de
va.ada thā kab kā bār-e-ḳhudā sochne to de
ma.aqūl koī uzr nayā sochne to de
parchī vo jis pe likkhā huā hai pata tirā
rakh kar kahāñ maiñ bhuul gayā sochne to de
vo hijr bhī to gūñgī pahelī se kam na thā
ab vasl aa paḌā hai zarā sochne to de
ai chāl-bāz aise na itrā ke muskurā
chalne de chaal mujh ko zarā sochne to de
hoñ iḳhtiyār se bhī pare kuchh tasarrufāt
andesha-e-hisāb haTā sochne to de
jo ho gayā maiñ us pe huuñ raazī ḳhudā qasam
ye kyuuñ huā ye kaise huā sochne to de
wada tha kab ka bar-e-KHuda sochne to de
maqul koi uzr naya sochne to de
parchi wo jis pe likkha hua hai pata tera
rakh kar kahan main bhul gaya sochne to de
wo hijr bhi to gungi paheli se kam na tha
ab wasl aa paDa hai zara sochne to de
ai chaal-baz aise na itra ke muskura
chalne de chaal mujh ko zara sochne to de
hon iKHtiyar se bhi pare kuchh tasarrufat
andesha-e-hisab haTa sochne to de
jo ho gaya main us pe hun raazi KHuda qasam
ye kyun hua ye kaise hua sochne to de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.