wade par etibar ki ghaDiyan
vā'de par e'tibār kī ghaḌiyāñ
iztirāb-o-qarār kī ghaḌiyāñ
dil kī dhaḌkan pa gin rahe haiñ ham
aap ke intizār kī ghaḌiyāñ
kuchh yaqīñ kuchh gumāñ meñ kaaTī haiñ
ham ne lail-o-nahār kī ghaḌiyāñ
yād-e-māzī umīd-e-mustaqbil
dil ke ġharq aur ubhār kī ghaḌiyāñ
haiñ mayassar junūñ ke sadqe meñ
dasht meñ bhī bahār kī ghaḌiyāñ
aap kī ek nazar kī qīmat haiñ
dil ke sabr-o-qarār kī ghaḌiyāñ
haiñ mire ijz-o-inkisār talak
terī shān-o-vaqār kī ghaḌiyāñ
mil rahī haiñ 'shamīm' ke dam tak
bāġh-o-gul ko bahār kī ghaḌiyāñ
wa'de par e'tibar ki ghaDiyan
iztirab-o-qarar ki ghaDiyan
dil ki dhaDkan pa gin rahe hain hum
aap ke intizar ki ghaDiyan
kuchh yaqin kuchh guman mein kaTi hain
hum ne lail-o-nahaar ki ghaDiyan
yaad-e-mazi umid-e-mustaqbil
dil ke gharq aur ubhaar ki ghaDiyan
hain mayassar junun ke sadqe mein
dasht mein bhi bahaar ki ghaDiyan
aap ki ek nazar ki qimat hain
dil ke sabr-o-qarar ki ghaDiyan
hain mere ijz-o-inkisar talak
teri shan-o-waqar ki ghaDiyan
mil rahi hain 'shamim' ke dam tak
bagh-o-gul ko bahaar ki ghaDiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.