wade yaKH-basta kamron ke andar girte hain
wade yaKH-basta kamron ke andar girte hain
Ghulam Mohammad Qasir
MORE BYGhulam Mohammad Qasir
vaade yaḳh-basta kamroñ ke andar girte haiñ
mere sehn meñ jhulse hue kabūtar girte haiñ
kahte haiñ in shāḳhoñ par phal phuul bhī aate the
ab to patte jhaḌte haiñ yā patthar girte haiñ
ḳhuuñ ke ye dhāre ham ne pahlī baar nahīñ dekhe
lekin ab in dariyāoñ meñ samundar girte haiñ
sun lete haiñ sargoshī ko chup meñ Dhalte hue
chun lete haiñ tiir jo apne barābar girte haiñ
zikr hamārā hone lagā ab aisā misāloñ meñ
dariyāoñ ke ruḳh pe bane ghar aksar girte haiñ
jaane kaise zalzale in āñkhoñ meñ aan base
parda uThne lagtā hai to manzar girte haiñ
wade yaKH-basta kamron ke andar girte hain
mere sehn mein jhulse hue kabutar girte hain
kahte hain in shaKHon par phal phul bhi aate the
ab to patte jhaDte hain ya patthar girte hain
KHun ke ye dhaare hum ne pahli bar nahin dekhe
lekin ab in dariyaon mein samundar girte hain
sun lete hain sargoshi ko chup mein Dhalte hue
chun lete hain tir jo apne barabar girte hain
zikr hamara hone laga ab aisa misalon mein
dariyaon ke ruKH pe bane ghar aksar girte hain
jaane kaise zalzale in aankhon mein aan base
parda uThne lagta hai to manzar girte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.