wadi-e-jism mein bikhraw nahin chahte hain
vādī-e-jism meñ bikhrāv nahīñ chāhte haiñ
ham tire hāthoñ koī ghaav nahīñ chāhte haiñ
qais sāhib kī rivāyat se mohabbat hai magar
apne uupar koī pathrāv nahīñ chāhte haiñ
ham musāfir haiñ mohabbat hai hamārī manzil
is safar meñ koī Thahrāv nahīñ chāhte haiñ
isī lahje se hai pahchān adab meñ apnī
is liye ham koī badlāv nahīñ chāhte haiñ
guftugū kā hameñ bharpūr hunar hai ma.alūm
phir bhī ḳhāmoshī se algāv nahīñ chāhte haiñ
zindagī phuul se nāzuk hai yahī soch ke ham
is ke andar koī uljhāv nahīñ chāhte haiñ
is liye rahte haiñ do-rangī usūloñ ke ḳhilāf
ek bāzār meñ do bhaav nahīñ chāhte haiñ
wadi-e-jism mein bikhraw nahin chahte hain
hum tere hathon koi ghaw nahin chahte hain
qais sahib ki riwayat se mohabbat hai magar
apne upar koi pathraw nahin chahte hain
hum musafir hain mohabbat hai hamari manzil
is safar mein koi Thahraw nahin chahte hain
isi lahje se hai pahchan adab mein apni
is liye hum koi badlaw nahin chahte hain
guftugu ka hamein bharpur hunar hai malum
phir bhi KHamoshi se algaw nahin chahte hain
zindagi phul se nazuk hai yahi soch ke hum
is ke andar koi uljhaw nahin chahte hain
is liye rahte hain do-rangi usulon ke KHilaf
ek bazar mein do bhaw nahin chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.