wadi-e-qalb ke haalat tumhein kya malum
vādī-e-qalb ke hālāt tumheñ kyā ma.alūm
kiyā sitam dhāte haiñ jazbāt tumheñ kyā ma.alūm
tum ne har vaqt hī ḳhushiyoñ ke ujāle dekhe
ġham kī hotī hai siyah raat tumheñ kyā ma.alūm
mere ash.ār uThāte haiñ savālāt magar
ḳhaak tum doge javābāt tumheñ kyā ma.alūm
tum hameñ bhuul ga.e aish-o-tarab meñ lekin
ham ne bhūlī na koī baat tumheñ kyā ma.alūm
tum ne dī hai vo mohabbat meñ daġhā kyā jaano
pyaar ko kaise milī maat tumheñ kyā ma.alūm
ḳhushk hoñToñ ne jab allāh-nigahbān kahā
kaise āñkhoñ ne kī barsāt tumheñ kyā ma.alūm
tum to shādāñ the ki bas haar gayā hai 'maqsūd'
kis kī dar-asl huī maat tumheñ kyā ma.alūm
wadi-e-qalb ke haalat tumhein kya malum
kiya sitam dhate hain jazbaat tumhein kya malum
tum ne har waqt hi KHushiyon ke ujale dekhe
gham ki hoti hai siyah raat tumhein kya malum
mere ashaar uThate hain sawalat magar
KHak tum doge jawabaat tumhein kya malum
tum hamein bhul gae aish-o-tarab mein lekin
hum ne bhuli na koi baat tumhein kya malum
tum ne di hai wo mohabbat mein dagha kya jaano
pyar ko kaise mili mat tumhein kya malum
KHushk honTon ne jab allah-nigahban kaha
kaise aankhon ne ki barsat tumhein kya malum
tum to shadan the ki bas haar gaya hai 'maqsud'
kis ki dar-asl hui mat tumhein kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.