wadi-e-shauq mein jo shoala-ba-daman nikla
vādī-e-shauq meñ jo sho.ala-ba-dāmāñ niklā
vāqif-e-rasm-o-rah-e-kūcha-e-jānāñ niklā
fikr-e-fardā ġham-e-doshīna se āzād huā
ḳhush-nasīb apnā dil-e-soḳhta-sāmāñ niklā
tujh se ummīd ho kyā dasht-navardoñ ko bahār
terā har hausla pāband-e-gulistāñ niklā
fasl-e-gul rang-e-chaman qāfila-e-abr-e-bahār
in meñ koī na sharīk-e-ġham-e-insāñ niklā
kyā sitam hai dil-e-nāshād ko ye daur-e-bahār
nāz-parvarda-e-arbāb-e-gulistāñ niklā
fahm-o-idrāk se aage hai yaqīñ kī manzil
aql kā ijz hī sar-chashma-e-īmāñ niklā
jāvedāñ ho na sakī umr baḌī ḳhair huī
ġham-zada ziist pe ye bhī tirā ehsāñ niklā
harf-gīrī to huī dast-e-zuleḳhā pe magar
shauq har haal meñ vābasta-e-dāmāñ niklā
wadi-e-shauq mein jo shoala-ba-daman nikla
waqif-e-rasm-o-rah-e-kucha-e-jaanan nikla
fikr-e-farda gham-e-doshina se aazad hua
KHush-nasib apna dil-e-soKHta-saman nikla
tujh se ummid ho kya dasht-nawardon ko bahaar
tera har hausla paband-e-gulistan nikla
fasl-e-gul rang-e-chaman qafila-e-abr-e-bahaar
in mein koi na sharik-e-gham-e-insan nikla
kya sitam hai dil-e-nashad ko ye daur-e-bahaar
naz-parwarda-e-arbab-e-gulistan nikla
fahm-o-idrak se aage hai yaqin ki manzil
aql ka ijz hi sar-chashma-e-iman nikla
jawedan ho na saki umr baDi KHair hui
gham-zada zist pe ye bhi tera ehsan nikla
harf-giri to hui dast-e-zuleKHa pe magar
shauq har haal mein wabasta-e-daman nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.