wadi wadi gane wala aaega
vaadī vaadī gaane vaalā aa.egā
phir kab vo muflis-shahzāda aa.egā
kyoñ maiñ kahūñ tū merā dost bhī lagtā hai
sab ke laboñ par kal ye qissa aa.egā
banjar dhartī tāroñ se mat paanī maañg
phir koī bādal āvāra aa.egā
ḳhvāboñ meñ bhī ham ko ye ummīd na thī
aañkh khule par dhyān na terā aa.egā
ā.īna ā.īna itrāne vaalā
mere aage bikhrā bikhrā aa.egā
wadi wadi gane wala aaega
phir kab wo muflis-shahzada aaega
kyon main kahun tu mera dost bhi lagta hai
sab ke labon par kal ye qissa aaega
banjar dharti taron se mat pani mang
phir koi baadal aawara aaega
KHwabon mein bhi hum ko ye ummid na thi
aankh khule par dhyan na tera aaega
aaina aaina itrane wala
mere aage bikhra bikhra aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.