Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wae qismat ki qarib usne na aana chaha

Qadir Siddiqi

wae qismat ki qarib usne na aana chaha

Qadir Siddiqi

MORE BYQadir Siddiqi

    vaa.e qismat ki qarīb us ne na aanā chāhā

    umr bhar ham ne jise apnā banānā chāhā

    kyā kaheñ us ko ġham-e-duniyā ne kitnā gherā

    ham ne jis dil ko tire ġham se sajānā chāhā

    kar diyā aur bhī mad.hosh zamāne ne use

    tere dīvāne ne jab hosh meñ aanā chāhā

    ho ga.ī aur sivā lazzat-e-ġham tāsīr

    jab kabhī ham ne tire ġham ko bhulānā chāhā

    vaqt ke sho.aloñ se mahfūz bhalā kyā rahte

    yuuñ to dāman ko bahut ham ne bachānā chāhā

    terī yādoñ ke diye jalte rahe jalte rahe

    āñdhiy.oñ ne to ka.ī baar bujhānā chāhā

    bas isī jurm pe nārāz haiñ duniyā vaale

    apne ḳhvāboñ mahal ham ne banānā chāhā

    jo uThā us ko girāne to sochī sab ne

    jo girā us ko na duniyā ne uThānā chāhā

    qasr-o-aivāñ girānā to koī baat na thī

    ka.aba-e-dil ko bhī kuchh logoñ ne Dhānā chāhā

    jab bhī sochā ki haqīqat na chhupā.eñ 'qādir'

    ham se duniyā ne nayā koī bahānā chāhā

    wae qismat ki qarib us ne na aana chaha

    umr bhar hum ne jise apna banana chaha

    kya kahen us ko gham-e-duniya ne kitna ghera

    hum ne jis dil ko tere gham se sajaana chaha

    kar diya aur bhi madhosh zamane ne use

    tere diwane ne jab hosh mein aana chaha

    ho gai aur siwa lazzat-e-gham ki tasir

    jab kabhi hum ne tere gham ko bhulana chaha

    waqt ke shoalon se mahfuz bhala kya rahte

    yun to daman ko bahut hum ne bachana chaha

    teri yaadon ke diye jalte rahe jalte rahe

    aandhiyon ne to kai bar bujhana chaha

    bas isi jurm pe naraaz hain duniya wale

    apne KHwabon ka mahal hum ne banana chaha

    jo uTha us ko girane ki to sochi sab ne

    jo gira us ko na duniya ne uThana chaha

    qasr-o-aiwan ka girana to koi baat na thi

    kaba-e-dil ko bhi kuchh logon ne Dhana chaha

    jab bhi socha ki haqiqat na chhupaen 'qadir'

    hum se duniya ne naya koi bahana chaha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now