wah fusun-e-ab-o-gil
vaah fusūn-e-āb-o-gil
dahr hai ik rañgīñ mahfil
razm-kunāñ rah-e-tūfāñ se
mil hī jā.egā sāhil
kis kī mahfil ko dekheñ
ham tum haiñ ḳhurāk-e-mahfil
josh-e-amal kī ḳhāmī kā
naam jahāñ meñ hai mushkil
surḳh na ho kyuuñ ashk-e-ġham
ḳhūn-e-jigar bhī hai shāmil
yuuñ na fasurda-ḳhātir rah
ġhuncha-o-gul kī sūrat khil
dekh tilism-e-fikr-e-'nihāl'
sehr-bayāñ shā.ir se mil
wah fusun-e-ab-o-gil
dahr hai ek rangin mahfil
razm-kunan rah-e-tufan se
mil hi jaega sahil
kis ki mahfil ko dekhen
hum tum hain KHurak-e-mahfil
josh-e-amal ki KHami ka
nam jahan mein hai mushkil
surKH na ho kyun ashk-e-gham
KHun-e-jigar bhi hai shamil
yun na fasurda-KHatir rah
ghuncha-o-gul ki surat khil
dekh tilism-e-fikr-e-'nihaal'
sehr-bayan shair se mil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.