wah kya dhum se aashiq ka janaza nikla
vaah kyā dhuum se āshiq kā janāza niklā
sab ko dhokā huā samjhe ki ye dūlhā niklā
ġhair samjhe the jise apnā shanāsā niklā
ġhaur karne se vo mehmān hamārā niklā
yār-o-aġhyār ne mayyat ko diyā thā kāñdhā
tere āshiq kā ajab shaan se lāsha niklā
yuuñ to lākhoñ haiñ tire chāhne vaale ḳhvāja
jāñ-nisāroñ meñ tire maiñ hī akelā niklā
sāqiyā mast huā aaya jo majlis meñ tirī
ik tirā maiñ hī nahīñ vālih-o-shaidā niklā
ruḳh-e-anvar se haTā jab ki naqāb-e-gesū
koī muztar koī majnūñ koī kushta niklā
huā ghāyal tirī nazroñ kā paḌī jis pe nazar
tirī mahfil se 'qamar' bhī to taḌaptā niklā
wah kya dhum se aashiq ka janaza nikla
sab ko dhoka hua samjhe ki ye dulha nikla
ghair samjhe the jise apna shanasa nikla
ghaur karne se wo mehman hamara nikla
yar-o-aghyar ne mayyat ko diya tha kandha
tere aashiq ka ajab shan se lasha nikla
yun to lakhon hain tere chahne wale KHwaja
jaan-nisaron mein tere main hi akela nikla
saqiya mast hua aaya jo majlis mein teri
ek tera main hi nahin walih-o-shaida nikla
ruKH-e-anwar se haTa jab ki naqab-e-gesu
koi muztar koi majnun koi kushta nikla
hua ghayal teri nazron ka paDi jis pe nazar
teri mahfil se 'qamar' bhi to taDapta nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.