wah kya faizan-e-chashm-e-nargis-e-mastana tha
vaah kyā faizān-e-chashm-e-nargis-e-mastāna thā
jis taraf nazreñ uThīñ mai-ḳhāna hī mai-ḳhāna thā
vus.at-e-kaunain meñ dil bhī ajab kāshāna thā
ka.aba kā ka.aba thā aur but-ḳhāna kā but-ḳhāna thā
dar-haqīqat saarā aalam ishq se begāna thā
varna ye unvān ḳhud apnī jagah afsāna thā
aah kab be-mā.egī meñ saath detā hai koī
jab surāhī ho ga.ī ḳhālī judā paimāna thā
sab kī jānib multafit the bazm meñ mere sivā
un kā ye andāz bhī andāz-e-ma.asūmāna thā
sunte sunte un kī bhī āñkhoñ meñ aañsū aa ga.e
kis qadar dil-soz mere ishq kā afsāna thā
tum ne jalvoñ se dil-e-'mūsā' ko raushan kar diyā
varna is se peshtar tārīk ye kāshāna thā
wah kya faizan-e-chashm-e-nargis-e-mastana tha
jis taraf nazren uThin mai-KHana hi mai-KHana tha
wusat-e-kaunain mein dil bhi ajab kashana tha
kaba ka kaba tha aur but-KHana ka but-KHana tha
dar-haqiqat sara aalam ishq se begana tha
warna ye unwan KHud apni jagah afsana tha
aah kab be-maegi mein sath deta hai koi
jab surahi ho gai KHali juda paimana tha
sab ki jaanib multafit the bazm mein mere siwa
un ka ye andaz bhi andaz-e-masumana tha
sunte sunte un ki bhi aankhon mein aansu aa gae
kis qadar dil-soz mere ishq ka afsana tha
tum ne jalwon se dil-e-'musa' ko raushan kar diya
warna is se peshtar tarik ye kashana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.