wah kya hum ko banaya aur bana kar rah gae
wah kya hum ko banaya aur bana kar rah gae
Pandit Jawahar Nath Saqi
MORE BYPandit Jawahar Nath Saqi
vaah kyā ham ko banāyā aur banā kar rah ga.e
vasl kā muzhda sunāyā aur sunā kar rah ga.e
le gayā shauq us ke dar tak phir kamī himmat ne kī
halqa-e-dar ko hilāyā aur hilā kar rah ga.e
maiñ ne jo apne dil-e-gum-gashta kī pūchhī ḳhabar
sar hilāyā muskurā.e muskurā kar rah ga.e
ġhairat-e-dushman kī ḳhātir merī ġhairat laa.ī rañg
mujh ko mahfil meñ bulāyā aur bulā kar rah ga.e
kaam rone se bhī 'sāqī' apnā kuchh niklā nahīñ
likkhā qismat kā miTāyā aur miTā kar rah ga.e
wah kya hum ko banaya aur bana kar rah gae
wasl ka muzhda sunaya aur suna kar rah gae
le gaya shauq us ke dar tak phir kami himmat ne ki
halqa-e-dar ko hilaya aur hila kar rah gae
main ne jo apne dil-e-gum-gashta ki puchhi KHabar
sar hilaya muskurae muskura kar rah gae
ghairat-e-dushman ki KHatir meri ghairat lai rang
mujh ko mahfil mein bulaya aur bula kar rah gae
kaam rone se bhi 'saqi' apna kuchh nikla nahin
likkha qismat ka miTaya aur miTa kar rah gae
- Book : Kulliyat-e-Saaqi (Pg. e-218 p-215)
- Author : Pandit Jawahar Nath Saqi
- Publication : Pandit Jawahar Nath Saqi (1926)
- Edition : 1926
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.